Is dil me andhera cha gaya hai,
Ab isme ham ujala na karenge..
Unhone hame bewafaa keh diya hai,
Ab ham kabhi pyaar na karenge..
Rooth gaye hai ab to sitare bhi hamse,
Ab ham falak se kisi ko lane ki koshish na karenge...
Chaand bhi sharma jata tha mere mehboob ko dekhkar,
Ab ham chaand se bhi dosti na karenge...
Bewafai ka dard mujhme itna sama diya ki,
Ab ham maut se bhi unke liye lada na karenge...
No comments:
Post a Comment