Monday, 24 January 2011

Saare mausam phr aj udass ho gaye....

Aaj sare mausam phir udass ho gaye,
Aj sare phool phir murjha gaye,
lagta hai aaj phir wo kisi ko Dhoka De ke aa gaye...

Kyon wo hamse itna naraj ho gaye,
Kya badal dharti ki tapan se behak gaye,
Use bhi ab nahi hai dharti ki Beche ni ka pata,
Wo khud chaand ko chupane me mashroof ho gaye,

Samandar pani ke liye kabhi nahi tarasta,
Lekin wo kisi ki pyass nahi bhuja sakta,
main tujhe apne pyaar ka Izhaar karna to chahata hoon,
Par tujhe khone k dar se nahi kar sakta,

Main unko pyaar ke kisse sunata hoon to,
Woi khush ho jate hai,
Main unko jhooth kehta hoon to ,
Wo khush ho jate hain,
Par,jab main unhe Izhar karta hoon to,
Woh rooth jate hai,
Main unko ikraar karta hoon to,
Wo Rooth jate hai.....

Wo char pal mere saath reh sakte nahi...

Wo char pal mere saath reh sakte nahi,
Wo mujhse ankhen mila sakte nahi,
Wo rote hai mujhse bewafai kar ke,
lekin wo mujhko yeh bata sakte nahi...

Wo hamse mil bhi sakte nahi,
Wo hamse door bhi reh sakte nahi,
Maana ki majboor hai wo is samaj se,
Par wo mujhe dhoka de sakte hai to phr samaj ko kyn nahi....

Yeh duniya wale kyn samjhte nahi,
Wo pyaar karne walo ko ek hone dete kyon nahi,
Wo jante nahi ki pyaar khuda hai,
Wo mujhe usse dur kar sakte hai par merekhuda se nahi....

Aj yeh duniya bhi pyaar ko samjh gai,
Yeh duniya bhi pyaar ko khuda maan gai,
Lekin ab bhi ham khush nahi hai duniya  se
kynki, Jab wo samjhe jab wo Apni Maang me kisi aur ka Sindoor le gai...

Har waqt unke khayalo me khoye rehte.....

Ki har waqt ham unke khayalo me khoye rehte the,
Unko yaard karte karte rote the,
Unka chera hame lagne laga tha bewafa,
Yeh sochkar ham raat bhar sote na the....

Ham unko kabhi dhoka de sakte nahi,
Unki yaad me ham aansu baha sakte nahi,
Wo khuda se badhkar hai hamare liye,
Ham wafa to kar sakte hai par bewafai nahi....

Yeh aasma dharti se bewafaai kar nahi sakta,
Samandar kabhi sahil ke liye nahi tarasta ,
Yeh ashq to uske pyar ki nishani hai,
Main inkomehkane me le jake kho nahi sakta,

Woh khush rahe sada ab ham yeh dua karte nahi,
Unke gam ab ham lena chahte nahi,
Unki maut bhi hame rula nahi sakti,
Yeh mere moti hai koi paani nahi.....

Ab ham kabi pyaar na karenge...

Is dil me andhera cha gaya hai,
Ab isme ham ujala na karenge..

Unhone hame bewafaa keh diya hai,
Ab ham kabhi pyaar na karenge..

Rooth gaye hai ab to sitare bhi hamse,
Ab ham falak se kisi ko lane ki koshish na karenge...

Chaand bhi sharma jata tha mere mehboob ko dekhkar,
Ab ham chaand se bhi dosti na karenge...

Bewafai ka dard mujhme itna sama diya ki,
Ab ham maut se bhi unke liye lada na karenge...

Wo waqt ki najakat ko samajhte nahi..

Wo waqt ki najakat ko samjhte nahi,
Wo mujhe apne samne dkh sakte nahi,
Fir bi mujhe maloom h,
Wo mere bin reh sakte nahi....

Wo maut se darte h khuda s nahi,
Wo ishk ko jaroorat samjhte h zindhi nahi,
Unke pyar karne ka tarika h alag,
Wo pyar to karte h par mujhse nahi.....

Teri tasveer banata hun to ban nahi pati,
Teri maang me sindur ki kami h reh jati,
Tujhe pyar h mujhse tu yeh khna h chahti,
Par is samaj k bhram se keh nahi pati....

Unke ashq to girte h lekin sukh jate h,
Aur unko hamare ashq paani nazar h aate,
Wo jante nahi moti aur paani me antar,
Wo khud hame mehkane le jake sharrabi hai keh aate...

Aaj wo mere ashq ko moti maan gai,
Aaj wo mere pyar ko apna jaan gai,
Bas ab ek hi gila h us khuda se,
Ki jb wo aai hamse milne to hamari kabar ke darwaje kyn khulte nahi.....

About Me

My photo
I am very sensative and emotional type of guy, and i can't live without 3 things my love,poetry,my friends.